KHol se jab zehn ke bahar nikalengi mujhe
ḳhol se jab zehn ke bāhar nikāleñgī mujhe
shahr kī tārīkiyāñ mujh se chhupā leñgī mujhe
zindagī ke naam par yādoñ ke tohfe bhej do
varna ye tanhā.iyāñ to maar Dāleñgī mujhe
Thiik hai ik dūsre ko chāhte haiñ ham magar
vaqt kī rasmeñ kabhī tum se churā leñgī mujhe
ik na ik din to koī patthar kahīñ se aa.egā
kab talak shīshe kī dīvāreñ sañbhāleñgī mujhe
ghar se jab niklā thā 'rāshid' maiñ ne ye sochā na thā
merī apnī ḳhvāhisheñ hī bech Dāleñgī mujhe
KHol se jab zehn ke bahar nikalengi mujhe
shahr ki tarikiyan mujh se chhupa lengi mujhe
zindagi ke nam par yaadon ke tohfe bhej do
warna ye tanhaiyan to mar Dalengi mujhe
Thik hai ek dusre ko chahte hain hum magar
waqt ki rasmen kabhi tum se chura lengi mujhe
ek na ek din to koi patthar kahin se aaega
kab talak shishe ki diwaren sanbhaalengi mujhe
ghar se jab nikla tha 'rashid' main ne ye socha na tha
meri apni KHwahishen hi bech Dalengi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.