KHud aks hi chehra ka aaine mein Dhalta hai
ḳhud aks hī chehra kā ā.īne meñ Dhaltā hai
ā.īna badalne se kab chehra badaltā hai
guftār se hotā hai kirdār kā andāza
unvāñ se fasāne kā mafhūm nikaltā hai
aaj apnī ravish par vo ḳhud sar-ba-garebāñ hai
iḳhlās kī garmī se patthar bhī pighaltā hai
nisbat hai jise un se vo dard hai pā.inda
har dard kahāñ varna naġhmāt meñ Dhaltā hai
maiñ mo'tarif-e-jurm-e-iz.hār-e-sadāqat huuñ
ye tarz-e-hayāt ab kyoñ ahbāb ko khaltā hai
ye narm-ravī 'tālib' phūloñ meñ ravā rakhiye
patthar kā kaleja to teshe se dahaltā hai
KHud aks hi chehra ka aaine mein Dhalta hai
aaina badalne se kab chehra badalta hai
guftar se hota hai kirdar ka andaza
unwan se fasane ka mafhum nikalta hai
aaj apni rawish par wo KHud sar-ba-gareban hai
iKHlas ki garmi se patthar bhi pighalta hai
nisbat hai jise un se wo dard hai painda
har dard kahan warna naghmat mein Dhalta hai
main mo'tarif-e-jurm-e-izhaar-e-sadaqat hun
ye tarz-e-hayat ab kyon ahbab ko khalta hai
ye narm-rawi 'talib' phulon mein rawa rakhiye
patthar ka kaleja to teshe se dahalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.