KHud apna apne aapko ustad kar kabhi
ḳhud apnā apne aap ko ustād kar kabhī
hai mashvara qubūl to irshād kar kabhī
honā hai tujh ko āshnā us ke mizāj se
to shaad hādsoñ ko bhī nāshād kar kabhī
kyoñ ek dā.ere meñ hī rakkhā hai bāñdh ke
is qaid se ḳhayāl ko āzād kar kabhī
manzar meñ ḳhaar sā jo khaTaktā hai jis jagah
hisse ko us jagah se haañ ābād kar kabhī
duniyā ko e.atibār ho jis par yaqīn ho
ik niiñd aa.e ḳhvāb koī laad kar kabhī
sūraj thā alvidā.a huā shaam ho ga.ī
kis ne kahā kisī se ki fariyād kar kabhī
jo dhund ban ke rah ga.e 'parvez' zehn meñ
khul ke dikhā.ī deñge tujhe yaad kar kabhī
KHud apna apne aap ko ustad kar kabhi
hai mashwara qubul to irshad kar kabhi
hona hai tujh ko aashna us ke mizaj se
to shad hadson ko bhi nashad kar kabhi
kyon ek daere mein hi rakkha hai bandh ke
is qaid se KHayal ko aazad kar kabhi
manzar mein KHar sa jo khaTakta hai jis jagah
hisse ko us jagah se han aabaad kar kabhi
duniya ko eatibar ho jis par yaqin ho
ek nind aae KHwab koi lad kar kabhi
suraj tha alwidaa hua sham ho gai
kis ne kaha kisi se ki fariyaad kar kabhi
jo dhund ban ke rah gae 'parwez' zehn mein
khul ke dikhai denge tujhe yaad kar kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.