KHud apna eatibar ganwata raha hun main
ḳhud apnā e.atibār gañvātā rahā huuñ maiñ
zarre ko āftāb batātā rahā huuñ maiñ
andhī havā ko duuñ koī ilzām kis liye
apne diye ko aap bujhātā rahā huuñ maiñ
ik umr ke riyāz kā hāsil na pūchhiye
reg-e-ravāñ pe naqsh banātā rahā huuñ maiñ
har chand maslahat kā taqāzā kuchh aur thā
ā.īna har kisī ko dikhātā rahā huuñ maiñ
bachchoñ ke hañste-khelte chehroñ kī oT meñ
apne dukhoñ kī Tiis chhupātā rahā huuñ maiñ
ye aur baat ḳhud mire paañv na uTh sake
auroñ ko rāsta to dikhātā rahā huuñ maiñ
'saifī' fishār-e-ġham kī tamāzat ke bāvajūd
hairat hai apnī baat nibhātā rahūñ maiñ
KHud apna eatibar ganwata raha hun main
zarre ko aaftab batata raha hun main
andhi hawa ko dun koi ilzam kis liye
apne diye ko aap bujhata raha hun main
ek umr ke riyaz ka hasil na puchhiye
reg-e-rawan pe naqsh banata raha hun main
har chand maslahat ka taqaza kuchh aur tha
aaina har kisi ko dikhata raha hun main
bachchon ke hanste-khelte chehron ki oT mein
apne dukhon ki Tis chhupata raha hun main
ye aur baat KHud mere panw na uTh sake
auron ko rasta to dikhata raha hun main
'saifi' fishaar-e-gham ki tamazat ke bawajud
hairat hai apni baat nibhata rahun main
- Book : Urdu Adab (Pg. 38)
- Author : Iqbal Hussain
- Publication : Iqbal Hussain Publishers (an, Feb. Mar 1996)
- Edition : an, Feb. Mar 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.