KHud apna ehtisab kiya kuchh nahin kiya
ḳhud apnā ehtisāb kiyā kuchh nahīñ kiyā
zarre ko āftāb kiyā kuchh nahīñ kiyā
hoñToñ pe tishnagī kā samundar liye hue
sahrā ko aab aab kiyā kuchh nahīñ kiyā
duniyā ke be-shumār ḳhudāoñ kī bhiiḌ meñ
terā hī intiḳhāb kiyā kuchh nahīñ kiyā
izzat vaqār jāh-o-hasham sab tumhāre naam
ham ne jo intisāb kiyā kuchh nahīñ kiyā
har gaam zulmatoñ kā safar tez-tar magar
zulmat se ijtināb kiyā kuchh nahīñ kiyā
sajde usī ke paañv kī zīnat bane rahe
vo jurm-e-be-hisāb kiyā kuchh nahīñ kiyā
qātil hamāre shahr ke zer-e-naqāb the
'nashtar' ne be-naqāb kiyā kuchh nahīñ kiyā
KHud apna ehtisab kiya kuchh nahin kiya
zarre ko aaftab kiya kuchh nahin kiya
honTon pe tishnagi ka samundar liye hue
sahra ko aab aab kiya kuchh nahin kiya
duniya ke be-shumar KHudaon ki bhiD mein
tera hi intiKHab kiya kuchh nahin kiya
izzat waqar jah-o-hasham sab tumhaare nam
hum ne jo intisab kiya kuchh nahin kiya
har gam zulmaton ka safar tez-tar magar
zulmat se ijtinab kiya kuchh nahin kiya
sajde usi ke panw ki zinat bane rahe
wo jurm-e-be-hisab kiya kuchh nahin kiya
qatil hamare shahr ke zer-e-naqab the
'nashtar' ne be-naqab kiya kuchh nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.