KHud apna hath bas thame hue main rah gaya hun
ḳhud apnā haath bas thāme hue maiñ rah gayā huuñ
sadī kā dukh huuñ jo āñkhoñ se apnī bah gayā huuñ
kabhī bhī aur kisī kā haq haḌap karnā nahīñ hai
yahī bachchoñ se apne marte marte kah gayā huuñ
vahāñ se hai ġhulāmoñ kā koī jarrār lashkar
magar is samt se laḌne ko maiñ ik shah gayā huuñ
ye sach hai apne bachchoñ ke liye thā ek Dhāras
chalā aayā hai vo tūfān ḳhud par Dheh gayā huuñ
ḳhud apne aap par tanqīd kī hai aap maiñ ne
kahūñ kyā aap apnī baat hañs kar sah gayā huuñ
maze le le ke paḌhte ho khulā ḳhat huuñ maiñ koī
kiyā mash.hūr us ne maiñ yahāñ se tah gayā huuñ
hathelī meñ samoyā us ne us ko pyaas bhī thī
magar 'hasrat' maiñ darzoñ meñ se phir bhī bah gayā huuñ
KHud apna hath bas thame hue main rah gaya hun
sadi ka dukh hun jo aankhon se apni bah gaya hun
kabhi bhi aur kisi ka haq haDap karna nahin hai
yahi bachchon se apne marte marte kah gaya hun
wahan se hai ghulamon ka koi jarrar lashkar
magar is samt se laDne ko main ek shah gaya hun
ye sach hai apne bachchon ke liye tha ek Dhaaras
chala aaya hai wo tufan KHud par Dheh gaya hun
KHud apne aap par tanqid ki hai aap main ne
kahun kya aap apni baat hans kar sah gaya hun
maze le le ke paDhte ho khula KHat hun main koi
kiya mashhur us ne main yahan se tah gaya hun
hatheli mein samoya us ne us ko pyas bhi thi
magar 'hasrat' main darzon mein se phir bhi bah gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.