KHud apne aap pe aise ata hua hun main
ḳhud apne aap pe aise atā huā huuñ maiñ
sadī ke sab se baḌe jurm kī sazā huuñ maiñ
lahūluhān hai chehra vajūd chhalnī hai
sadī jo biit ga.ī us kā aa.ina huuñ maiñ
ajiib ālam-e-āh-o-bukā hai merā vajūd
taḌapte chīḳhte lamhoñ kā marsiya huuñ maiñ
ajiib sā mire siine meñ ik talātum hai
ki mauj mauj samundar banā huā huuñ maiñ
kabhī to vaqt kī sarhad ke paar utrūñgā
ki buuñd buuñd samundar ko pī rahā huuñ maiñ
'shafīq' ab koī ehsās kyā jhiñjhoḌegā
nigah se girte hī patthar kā ho gayā huuñ maiñ
KHud apne aap pe aise ata hua hun main
sadi ke sab se baDe jurm ki saza hun main
lahuluhan hai chehra wajud chhalni hai
sadi jo bit gai us ka aaina hun main
ajib aalam-e-ah-o-buka hai mera wajud
taDapte chiKHte lamhon ka marsiya hun main
ajib sa mere sine mein ek talatum hai
ki mauj mauj samundar bana hua hun main
kabhi to waqt ki sarhad ke par utrunga
ki bund bund samundar ko pi raha hun main
'shafiq' ab koi ehsas kya jhinjhoDega
nigah se girte hi patthar ka ho gaya hun main
- Book : Jazira meri aafiyat ka (Pg. 8)
- Author : Shafiq Abbas
- Publication : Kitab Daar (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.