KHud apne fan mein jo kaamil nahin hai
ḳhud apne fan meñ jo kāmil nahīñ hai
jahāñ meñ vo kisī qābil nahīñ hai
vahī naḳhl-e-tamannā kyoñ harā ho
ki jaḌ mohkam jise hāsil nahīñ hai
safīna kyoñ hamārā Dagmagā.e
ki bach aane ko kyā sāhil nahīñ hai
jo parda zehn-e-insāñ par paḌā thā
vo parda uTh gayā haa.il nahīñ hai
ye ilm-o-fan kī duniyā hai ai 'bāsir'
mukammal jo abhī hāsil nahīñ hai
KHud apne fan mein jo kaamil nahin hai
jahan mein wo kisi qabil nahin hai
wahi naKHl-e-tamanna kyon hara ho
ki jaD mohkam jise hasil nahin hai
safina kyon hamara Dagmagae
ki bach aane ko kya sahil nahin hai
jo parda zehn-e-insan par paDa tha
wo parda uTh gaya hail nahin hai
ye ilm-o-fan ki duniya hai ai 'basir'
mukammal jo abhi hasil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.