KHud apne panw ke niche bhanwar banata hun
ḳhud apne paañv ke nīche bhañvar banātā huuñ
maiñ ik sarā.e ko har roz ghar banātā huuñ
ye koī dukh hai gila hai yā koī pachhtāvā
maiñ kāġhazoñ pe jo aksar shajar banātā huuñ
mire makān meñ ab dhuup bhī nahīñ aatī
maiñ kis umiid se āḳhir ye dar banātā huuñ
nigal hī jaa.e kabhī to siyāh raat mujhe
maiñ ik charāġh bujhā kar ye Dar banātā huuñ
maiñ jāntā huuñ ki miTTī ke haiñ parind ke pañkh
banā ke kuchh nahīñ hāsil magar banātā huuñ
KHud apne panw ke niche bhanwar banata hun
main ek sarae ko har roz ghar banata hun
ye koi dukh hai gila hai ya koi pachhtawa
main kaghazon pe jo aksar shajar banata hun
mere makan mein ab dhup bhi nahin aati
main kis umid se aaKHir ye dar banata hun
nigal hi jae kabhi to siyah raat mujhe
main ek charagh bujha kar ye Dar banata hun
main jaanta hun ki miTTi ke hain parind ke pankh
bana ke kuchh nahin hasil magar banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.