KHud apne ujale se ojhal raha hai diya jal raha hai
ḳhud apne ujāle se ojhal rahā hai diyā jal rahā hai
nahīñ jānte kis tarah jal rahā hai diyā jal rahā hai
samundar kī maujoñ ko chhū kar havā.eñ palaTne lagī haiñ
sitāra falak par kahīñ chal rahā hai diyā jal rahā hai
koī faisla to karo rāste se guzartī havāo
ye qissa baḌī der se Tal rahā hai diyā jal rahā hai
kahīñ duur tak koī jugnū nahīñ hai sitāre bujhe haiñ
chamaktā huā chāñd bhī Dhal rahā hai diyā jal rahā hai
koī yaad phir dil meñ aa kar basī hai mahak sī huī hai
koī ḳhvāb āñkhoñ meñ phir pal rahā hai diyā jal rahā hai
KHud apne ujale se ojhal raha hai diya jal raha hai
nahin jaante kis tarah jal raha hai diya jal raha hai
samundar ki maujon ko chhu kar hawaen palaTne lagi hain
sitara falak par kahin chal raha hai diya jal raha hai
koi faisla to karo raste se guzarti hawao
ye qissa baDi der se Tal raha hai diya jal raha hai
kahin dur tak koi jugnu nahin hai sitare bujhe hain
chamakta hua chand bhi Dhal raha hai diya jal raha hai
koi yaad phir dil mein aa kar basi hai mahak si hui hai
koi KHwab aankhon mein phir pal raha hai diya jal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.