KHud apne zaKHm sina aa gaya hai
ḳhud apne zaḳhm siinā aa gayā hai
bil-āḳhir mujh ko jiinā aa gayā hai
munāfiq ho ga.e haiñ hoñT mere
mire dil ko bhī kiina aa gayā hai
bahā kar le gayā tūfāñ javānī
lab-e-sāhil safīna aa gayā hai
kisī dukh par bhī āñkheñ nam na pā kar
masā.ib ko pasīna aa gayā hai
baḌī ustād hai ye zindagī bhī
lo mujh ko zahr piinā aa gayā hai
lagā kar zaḳhm ḳhud marham bhī degā
use itnā qarīna aa gayā hai
hare hone chale haiñ zaḳhm saare
ki sāvan kā mahīna aa gayā hai
KHud apne zaKHm sina aa gaya hai
bil-aKHir mujh ko jina aa gaya hai
munafiq ho gae hain honT mere
mere dil ko bhi kina aa gaya hai
baha kar le gaya tufan jawani
lab-e-sahil safina aa gaya hai
kisi dukh par bhi aankhen nam na pa kar
masaib ko pasina aa gaya hai
baDi ustad hai ye zindagi bhi
lo mujh ko zahr pina aa gaya hai
laga kar zaKHm KHud marham bhi dega
use itna qarina aa gaya hai
hare hone chale hain zaKHm sare
ki sawan ka mahina aa gaya hai
- Book : aa.iinaa jhuuTaa Hai (Pg. 245)
- Author : FARHAT SHAHZAD
- Publication : Al-Hamd Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.