KHud apni hi hadon ka daera tha saeban hum the
ḳhud apnī hī hadoñ kā dā.era thā sā.ebāñ ham the
na jaane raat kitne tajraboñ ke darmiyāñ ham the
sadāoñ ke ta.āqub meñ ḳhud apne hosh kho baiThe
daraḳhtoñ kī ghanerī chhāñv thī aur be-zabāñ ham the
kiyā jab ġhaur to sab vus.ateñ mahdūd-tar niklīñ
fareb-e-ḳhud-nigāhī meñ to bahr-e-be-karāñ ham the
girī ik iiñT dīvār-e-shikasta se magar sākit
ki jaise saikḌoñ sadiyoñ ke bas ik rāz-dāñ ham the
chalo kab tak yūñhī malte raheñ bojhal sī palkoñ ko
ki jis meñ raat bhar ghuTtā rahā dam vo dhuāñ ham the
kabhī hañsnā kabhī ronā kabhī ḳhushiyāñ kabhī aañsū
kirā.e-dār vo sab the kirā.e kā makāñ ham the
ajab andāz kī sozish thī 'nāshir' jhulse maazī kī
milā karte the shahzāde jahāñ vo dāstāñ ham the
KHud apni hi hadon ka daera tha saeban hum the
na jaane raat kitne tajrabon ke darmiyan hum the
sadaon ke taaqub mein KHud apne hosh kho baiThe
daraKHton ki ghaneri chhanw thi aur be-zaban hum the
kiya jab ghaur to sab wusaten mahdud-tar niklin
fareb-e-KHud-nigahi mein to bahr-e-be-karan hum the
giri ek inT diwar-e-shikasta se magar sakit
ki jaise saikDon sadiyon ke bas ek raaz-dan hum the
chalo kab tak yunhi malte rahen bojhal si palkon ko
ki jis mein raat bhar ghuTta raha dam wo dhuan hum the
kabhi hansna kabhi rona kabhi KHushiyan kabhi aansu
kirae-dar wo sab the kirae ka makan hum the
ajab andaz ki sozish thi 'nashir' jhulse mazi ki
mila karte the shahzade jahan wo dastan hum the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.