KHud apni jaan ka aazar ho ke rah gaya hai
ḳhud apnī jaan kā āzār ho ke rah gayā hai
maiñ huuñ vo qila jo mismār ho ke rah gayā hai
nahīñ hai harf-e-shikāyat kisī ke hoñToñ par
har aadmī dar-o-dīvār ho ke rah gayā hai
kahāñ se aa ga.ī āḳhir fazā meñ itnī ghuTan
ki saañs lenā bhī dushvār ho ke rah gayā hai
hamāre haath lagī hai ye kyā masīhā.ī
jise bhī dekhiye bīmār ho ke rah gayā hai
gharoñ pe ab koī tanqīd kī bhī kaise jaa.e
ki ghar to rishtoñ kā bāzār ho ke rah gayā hai
siyāsiyāt meñ sab se baḌā jo naam hai aaj
hamāre biich adākār ho ke rah gayā hai
kahā gayā jise hindostāñ kā dil 'shāhid'
vo shahr shahr-e-gunahgār ho ke rah gayā hai
KHud apni jaan ka aazar ho ke rah gaya hai
main hun wo qila jo mismar ho ke rah gaya hai
nahin hai harf-e-shikayat kisi ke honTon par
har aadmi dar-o-diwar ho ke rah gaya hai
kahan se aa gai aaKHir faza mein itni ghuTan
ki sans lena bhi dushwar ho ke rah gaya hai
hamare hath lagi hai ye kya masihai
jise bhi dekhiye bimar ho ke rah gaya hai
gharon pe ab koi tanqid ki bhi kaise jae
ki ghar to rishton ka bazar ho ke rah gaya hai
siyasiyat mein sab se baDa jo nam hai aaj
hamare bich adakar ho ke rah gaya hai
kaha gaya jise hindostan ka dil 'shahid'
wo shahr shahr-e-gunahgar ho ke rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.