KHud apni kawishon se aab-o-dana DhunD lete hain
ḳhud apnī kāvishoñ se āb-o-dāna DhūñD lete haiñ
parinde apne rahne kā Thikānā DhūñD lete haiñ
hathelī par liye phirte haiñ jo jān-e-azīz apnī
samundar kī tahoñ meñ bhī ḳhazāna DhūñD lete haiñ
diloñ meñ jin ke milne kī tamanna jaag uThtī hai
vo barsoñ baad bhī rishta purānā DhūñD lete haiñ
hunar aatā hai jin ko dushmanoñ se bach nikalne kā
vo hañs kar chaal koī shātirāna DhūñD lete haiñ
bachā kar rakhnā hai ham ko yaqīn-o-e'timād un kā
koī qissa nayā koī fasāna DhūñD lete haiñ
unheñ aate haiñ gar va.ada-ḳhilāfī ke hunar 'qaisar'
to achchhā sā koī ham bhī bahāna DhūñD lete haiñ
KHud apni kawishon se aab-o-dana DhunD lete hain
parinde apne rahne ka Thikana DhunD lete hain
hatheli par liye phirte hain jo jaan-e-aziz apni
samundar ki tahon mein bhi KHazana DhunD lete hain
dilon mein jin ke milne ki tamanna jag uThti hai
wo barson baad bhi rishta purana DhunD lete hain
hunar aata hai jin ko dushmanon se bach nikalne ka
wo hans kar chaal koi shatirana DhunD lete hain
bacha kar rakhna hai hum ko yaqin-o-e'timad un ka
koi qissa naya koi fasana DhunD lete hain
unhen aate hain gar wada-KHilafi ke hunar 'qaisar'
to achchha sa koi hum bhi bahana DhunD lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.