KHud apni khaal se naKHun juda kiya gaya tha
ḳhud apnī khaal se nāḳhun judā kiyā gayā thā
vo mujh ko yaad thā qasdan bhulā diyā gayā thā
bhaTak rahī hai mirī aatmā dhuāñ ban kar
maiñ vo charāġh huuñ jis ko bujhā diyā gayā thā
ye koī baat hai ātish-parast logoñ kī
kal ek peḌ ko zinda jalā diyā gayā thā
mire laboñ pe bhī lab rakh diye ga.e the magar
mirī zabān ko pahle sukhā diyā gayā thā
tumheñ bhī ḳhvāb dikhā.eñge vo shahādat ke
mujhe bhī qatl se pahle sulā diyā gayā thā
KHud apni khaal se naKHun juda kiya gaya tha
wo mujh ko yaad tha qasdan bhula diya gaya tha
bhaTak rahi hai meri aatma dhuan ban kar
main wo charagh hun jis ko bujha diya gaya tha
ye koi baat hai aatish-parast logon ki
kal ek peD ko zinda jala diya gaya tha
mere labon pe bhi lab rakh diye gae the magar
meri zaban ko pahle sukha diya gaya tha
tumhein bhi KHwab dikhaenge wo shahadat ke
mujhe bhi qatl se pahle sula diya gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.