KHud apni parastish karte hain kuchh dair-o-haram se kaam nahin
KHud apni parastish karte hain kuchh dair-o-haram se kaam nahin
Habibur Rahman Siddiqui
MORE BYHabibur Rahman Siddiqui
ḳhud apnī parastish karte haiñ kuchh dair-o-haram se kaam nahīñ
vo tarz-e-niyāz-e-ḳhās hai ye jo kufr nahīñ islām nahīñ
hoñ pīr-e-muġhāñ yā shaiḳh-e-haram sab bāñdh rahe haiñ apnī havā
kahne ko bahut kuchh kahte haiñ jo baat hai us kā naam nahīñ
ham toḌ deñ qaid-e-hastī bhī ye qaid-e-qafas to chiiz hai kyā
ik jumbish-e-qalb-e-muztar meñ yā ham hī nahīñ yā baam nahīñ
hai josh-e-atā-e-sāqī bhī kab vajh-e-sukūn-e-tishna-labī
yā jaam ba-qadr-e-bāda nahīñ yā baada ba-qadr-e-jām nahīñ
āzād rahe nākām jiye pāband bhalā kyā shaad raheñ
ho sahn-e-chaman yā kunj-e-qafas ham ko to kahīñ ārām nahīñ
himmat hī nahīñ kī varna abhī ik jast meñ manzil jā lete
kaTtī hai kahīñ yuuñ raah bhalā do gaam chale do gaam nahīñ
kyā shāhid-e-rānā chhāñTā hai allāh-re merī dīda-varī
ye husn sar-e-bāzār nahīñ ye zauq-e-tamāshā aam nahīñ
KHud apni parastish karte hain kuchh dair-o-haram se kaam nahin
wo tarz-e-niyaz-e-KHas hai ye jo kufr nahin islam nahin
hon pir-e-mughan ya shaiKH-e-haram sab bandh rahe hain apni hawa
kahne ko bahut kuchh kahte hain jo baat hai us ka nam nahin
hum toD den qaid-e-hasti bhi ye qaid-e-qafas to chiz hai kya
ek jumbish-e-qalb-e-muztar mein ya hum hi nahin ya baam nahin
hai josh-e-ata-e-saqi bhi kab wajh-e-sukun-e-tishna-labi
ya jam ba-qadr-e-baada nahin ya baada ba-qadr-e-jam nahin
aazad rahe nakaam jiye paband bhala kya shad rahen
ho sahn-e-chaman ya kunj-e-qafas hum ko to kahin aaram nahin
himmat hi nahin ki warna abhi ek jast mein manzil ja lete
kaTti hai kahin yun rah bhala do gam chale do gam nahin
kya shahid-e-rana chhanTa hai allah-re meri dida-wari
ye husn sar-e-bazar nahin ye zauq-e-tamasha aam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.