KHud apni rah ki diwar kar diya gaya hun
ḳhud apnī raah kī dīvār kar diyā gayā huuñ
ye kis azaab se do-chār kar diyā gayā huuñ
vo chashm thī use bīnā.ī le ga.ī apnī
maiñ aa.ina thā so zañgār kar diyā gayā huuñ
maiñ ek raaz thā maḳhfī thā ḳhaak meñ apne
abhī abhī hī maiñ iz.hār kar diyā gayā huuñ
vo din bhī duur nahīñ dost ye kaheñge miyāñ
ki maiñ to aur bhī dushvār kar diyā gayā huuñ
tamām āñkheñ mujhe dekhne ko aatī haiñ
ajab tarah se numūdār kar diyā gayā huuñ
to kyā dikhānā hai sab ko hī rāsta haq kā
to kyā maiñ qāfila-sālār kar diyā gayā huuñ
mire mazār kī ye ḳhaak chhān le duniyā
ki tere haath meñ maiñ maar kar diyā gayā huuñ
ye ishq hai yā koī ramz hai nahīñ ma.alūm
badan se ruuh se sarshār kar diyā gayā huuñ
bahut ġhurūr thā mujh ko vajūd par 'jāved'
isī liye to nigūñ-sār kar diyā gayā huuñ
KHud apni rah ki diwar kar diya gaya hun
ye kis azab se do-chaar kar diya gaya hun
wo chashm thi use binai le gai apni
main aaina tha so zangar kar diya gaya hun
main ek raaz tha maKHfi tha KHak mein apne
abhi abhi hi main izhaar kar diya gaya hun
wo din bhi dur nahin dost ye kahenge miyan
ki main to aur bhi dushwar kar diya gaya hun
tamam aankhen mujhe dekhne ko aati hain
ajab tarah se numudar kar diya gaya hun
to kya dikhana hai sab ko hi rasta haq ka
to kya main qafila-salar kar diya gaya hun
mere mazar ki ye KHak chhan le duniya
ki tere hath mein main mar kar diya gaya hun
ye ishq hai ya koi ramz hai nahin malum
badan se ruh se sarshaar kar diya gaya hun
bahut ghurur tha mujh ko wajud par 'jawed'
isi liye to nigun-sar kar diya gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.