KHud apni taswiren mujh par
ḳhud apnī tasvīreñ mujh par
bojh banīñ jāgīreñ mujh par
sach kā jab parchār karūñ maiñ
lagtī haiñ ta.azīreñ mujh par
maiñ bhī rāñjhe jaisā kab thā
martī phir kyoñ hīreñ mujh par
be-qadroñ kī mahfil hī ab
kholtī hai tanvīreñ mujh par
jab maiñ 'ābid' mar jā.ūñgā
ā.eñgī tahrīreñ mujh par
KHud apni taswiren mujh par
bojh banin jagiren mujh par
sach ka jab parchaar karun main
lagti hain taziren mujh par
main bhi ranjhe jaisa kab tha
marti phir kyon hiren mujh par
be-qadron ki mahfil hi ab
kholti hai tanwiren mujh par
jab main 'abid' mar jaunga
aaengi tahriren mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.