KHud apni zat ko pahle mujhe tasKHir karna tha
ḳhud apnī zaat ko pahle mujhe tasḳhīr karnā thā
isī buniyād par phir shahr-e-dil tā'mīr karnā thā
hameñ par bhī katarne the anā ko dafn karnā thā
kisī ke naam ko phir paañv kī zanjīr karnā thā
badan nafrat se sho'la ho mohabbat raakh kar de dil
kisī jazbe ko is darja na ātish-gīr karnā thā
'ufuq tak sarhad-e-dil ho ki ghar kī chār-dīvārī
vafā kā har ‘ilāqa sūrat-e-jāgīr karnā thā
hujūm-e-ḳhvāb se aksar yahī maiñ soch kar niklī
abhī vo ḳhvāb kab dekhā jise tā'bīr karnā thā
phir apnā naqsh kyā rakhtī ki merā 'aks kyā miltā
mujhe jab qarya-e-dil meñ use tasvīr karnā thā
vo qirtās-e-zamīñ ab tak kahāñ nāpaid hai yārab
jo mus.haf taaq meñ rakkhā use tafsīr karnā thā
KHud apni zat ko pahle mujhe tasKHir karna tha
isi buniyaad par phir shahr-e-dil ta'mir karna tha
hamein par bhi katarne the ana ko dafn karna tha
kisi ke nam ko phir panw ki zanjir karna tha
badan nafrat se sho'la ho mohabbat rakh kar de dil
kisi jazbe ko is darja na aatish-gir karna tha
'ufuq tak sarhad-e-dil ho ki ghar ki chaar-diwari
wafa ka har ‘ilaqa surat-e-jagir karna tha
hujum-e-KHwab se aksar yahi main soch kar nikli
abhi wo KHwab kab dekha jise ta'bir karna tha
phir apna naqsh kya rakhti ki mera 'aks kya milta
mujhe jab qarya-e-dil mein use taswir karna tha
wo qirtas-e-zamin ab tak kahan napaid hai yarab
jo mushaf taq mein rakkha use tafsir karna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.