KHud apni zat se insan be-KHabar kyon hai
ḳhud apnī zaat se insān be-ḳhabar kyoñ hai
shu.ūr-e-dīda-varī hai to kam-nazar kyoñ hai
jo aa.ina tirī zarb-e-nigāh sah na sakā
us aa.ine pe abhī ḳhat-e-mustaqar kyoñ hai
kabhī kā chhoḌ chukā huuñ dayār-e-shauq magar
ye mere saath lagī gard-e-rahguzar kyoñ hai
darāz silsila-e-ārzū bahut hai magar
mujhe batāo hayāt itnī muḳhtasar kyoñ hai
jo kal kī baat hai vo aaj kyoñ nahīñ hotī
ye itnā fāsla az shaam tā sahar kyoñ hai
jalā.e baiThā huuñ maiñ apne fikr-o-fan kā charāġh
ye merā zarf hai yāroñ ko dard-e-sar kyoñ hai
fareb kitnā ba-nām-e-ḳhulūs khaa.e koī
har ek baat tirī ġhair mo'atabar kyoñ hai
baḌī ajiib hai us aadmī kī fitrat bhī
kushāda zehn agar hai to kam-nazar kyoñ hai
KHud apni zat se insan be-KHabar kyon hai
shuur-e-dida-wari hai to kam-nazar kyon hai
jo aaina teri zarb-e-nigah sah na saka
us aaine pe abhi KHat-e-mustaqar kyon hai
kabhi ka chhoD chuka hun dayar-e-shauq magar
ye mere sath lagi gard-e-rahguzar kyon hai
daraaz silsila-e-arzu bahut hai magar
mujhe batao hayat itni muKHtasar kyon hai
jo kal ki baat hai wo aaj kyon nahin hoti
ye itna fasla az sham ta sahar kyon hai
jalae baiTha hun main apne fikr-o-fan ka charagh
ye mera zarf hai yaron ko dard-e-sar kyon hai
fareb kitna ba-nam-e-KHulus khae koi
har ek baat teri ghair mo'atabar kyon hai
baDi ajib hai us aadmi ki fitrat bhi
kushada zehn agar hai to kam-nazar kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.