KHud arsh-e-barin ko bhi jhukte hue paya hai
ḳhud arsh-e-barīñ ko bhī jhukte hue paayā hai
sar jab bhī kabhī ham ne sajde meñ jhukāyā hai
duniyā ke irādoñ ko ye bhāñp gayā hogā
pazhmurda sā jo chehra sūraj ne banāyā hai
mai-ḳhāna-e-ulfat ke mai-ḳhvār ko duniyā ne
suulī pe chaḌhāyā hai aur zahr pilāyā hai
nādār kā maulā hai bahutoñ se sunā hai ye
phir kaunsī tāqat ne muflis ko satāyā hai
taqdīr ke hāthoñ se tadbīr piTī lekin
taqdīr kā sar aksar himmat ne jhukāyā hai
is raaz ko ai 'lāġhar' koī bhī nahīñ samjhā
kyā soch ke ḳhāliq ne duniyā ko banāyā hai
KHud arsh-e-barin ko bhi jhukte hue paya hai
sar jab bhi kabhi hum ne sajde mein jhukaya hai
duniya ke iradon ko ye bhanp gaya hoga
pazhmurda sa jo chehra suraj ne banaya hai
mai-KHana-e-ulfat ke mai-KHwar ko duniya ne
suli pe chaDhaya hai aur zahr pilaya hai
nadar ka maula hai bahuton se suna hai ye
phir kaunsi taqat ne muflis ko sataya hai
taqdir ke hathon se tadbir piTi lekin
taqdir ka sar aksar himmat ne jhukaya hai
is raaz ko ai 'laghar' koi bhi nahin samjha
kya soch ke KHaliq ne duniya ko banaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.