KHud-ba-KHud aankh badal kar ye sawal achchha hai
ḳhud-ba-ḳhud aañkh badal kar ye savāl achchhā hai
roz kab tak koī pūchhā kare haal achchhā hai
hijr meñ aish-e-guzishta kā ḳhayāl achchhā hai
ho jhalak jis meñ ḳhushī kī vo ma.aal achchhā hai
daaġh behtar hai vahī ho jo dil-e-āshiq meñ
jaur hai āriz-e-ḳhūbāñ pe vo ḳhaal achchhā hai
dekh un ḳhaak ke putloñ kī adā.eñ zāhid
un se kis baat meñ hūroñ kā jamāl achchhā hai
kījiye aur bhī shikve ki miTe dil kā ġhubār
bātoñ bātoñ meñ nikal jaa.e malāl achchhā hai
tandurustī se to behtar thī mirī bīmārī
vo kabhī pūchh to lete the ki haal achchhā hai
jo nigāhoñ meñ samā jaa.e vo sūrat achchhī
jo ḳharīdār ko jach jaa.e vo maal achchhā hai
chāragar ko mire ye bhī nahīñ tam.īz abhī
kaun sā haal burā kaun sā haal achchhā hai
de ḳhudā zar to koī mai-kada ābād kareñ
achchhe kāmoñ meñ jo ho sarf vo maal achchhā hai
hañs ke kahte haiñ kabhī haath se uḌne kā nahīñ
tā.ir-e-rañg-e-hinā be-par-o-bāl achchhā hai
jo na nikle kabhī dil se vo tamannā achchhī
jo na aa.e kabhī lab tak vo savāl achchhā hai
hasrat aatī hai hameñ haal par apne kyā kyā
sunte haiñ jab kisī bīmār kā haal achchhā hai
huur ke zikr par ā.īna uThā kar dekhā
us se īmāñ hai ki merā hī jamāl achchhā hai
aarzū merī na puurī ho koī baat hai ye
kaash itnā vo samajh leñ ki savāl achchhā hai
muft miltā hai ḳharābāt meñ har mai-kash ko
Tharrā piine ke liye jām-e-sifāl achchhā hai
saiñkaḌoñ barq-jamāloñ kā guzar hotā hai
tūr-e-sīnā se mirā bām-e-ḳhayāl achchhā hai
huuñ gadā-e-dar-e-mai-ḳhāna takalluf se barī
TūTā-phūTā ye merā jām-e-sifāl achchhā hai
haal sunte nahīñ be-ḳhud haiñ ye masjid vaale
un se kuchh mai-kade vāloñ hī kā haal achchhā hai
daf.atan tark-e-mohabbat meñ zarar hai jī kā
rafta rafta jo miTe dil se ḳhayāl achchhā hai
ab ke har shahr meñ phailā hai jo tā.ūn 'hafīz'
marne vāloñ ko ḳhushī hai ki ye saal achchhā hai
KHud-ba-KHud aankh badal kar ye sawal achchha hai
roz kab tak koi puchha kare haal achchha hai
hijr mein aish-e-guzishta ka KHayal achchha hai
ho jhalak jis mein KHushi ki wo maal achchha hai
dagh behtar hai wahi ho jo dil-e-ashiq mein
jaur hai aariz-e-KHuban pe wo KHal achchha hai
dekh un KHak ke putlon ki adaen zahid
un se kis baat mein huron ka jamal achchha hai
kijiye aur bhi shikwe ki miTe dil ka ghubar
baaton baaton mein nikal jae malal achchha hai
tandurusti se to behtar thi meri bimari
wo kabhi puchh to lete the ki haal achchha hai
jo nigahon mein sama jae wo surat achchhi
jo KHaridar ko jach jae wo mal achchha hai
chaaragar ko mere ye bhi nahin tamiz abhi
kaun sa haal bura kaun sa haal achchha hai
de KHuda zar to koi mai-kada aabaad karen
achchhe kaamon mein jo ho sarf wo mal achchha hai
hans ke kahte hain kabhi hath se uDne ka nahin
tair-e-rang-e-hina be-par-o-baal achchha hai
jo na nikle kabhi dil se wo tamanna achchhi
jo na aae kabhi lab tak wo sawal achchha hai
hasrat aati hai hamein haal par apne kya kya
sunte hain jab kisi bimar ka haal achchha hai
hur ke zikr par aaina uTha kar dekha
us se iman hai ki mera hi jamal achchha hai
aarzu meri na puri ho koi baat hai ye
kash itna wo samajh len ki sawal achchha hai
muft milta hai KHarabaat mein har mai-kash ko
Tharra pine ke liye jam-e-sifal achchha hai
sainkaDon barq-jamalon ka guzar hota hai
tur-e-sina se mera baam-e-KHayal achchha hai
hun gada-e-dar-e-mai-KHana takalluf se bari
TuTa-phuTa ye mera jam-e-sifal achchha hai
haal sunte nahin be-KHud hain ye masjid wale
un se kuchh mai-kade walon hi ka haal achchha hai
dafatan tark-e-mohabbat mein zarar hai ji ka
rafta rafta jo miTe dil se KHayal achchha hai
ab ke har shahr mein phaila hai jo taun 'hafiz'
marne walon ko KHushi hai ki ye sal achchha hai
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-277 Page Number-233)
- Author : Tufail Ahmad Ansari
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.