KHud ban gai hai baat banane mein main na tha
ḳhud ban ga.ī hai baat banāne meñ maiñ na thā
is vāqiye ke koī fasāne meñ maiñ na thā
manzar ko saath le ga.ī sūraj kī raushnī
din ke hasīn rang miTāne meñ maiñ na thā
jaise ufuq pe khīñch de koī lakīr sī
is tarah se parinde uḌāne meñ maiñ na thā
kuchh dostoñ ke haath bhī malbūs is meñ the
tanhā faqat futūr jagāne meñ maiñ na thā
hoñToñ pe sīdhe saade jo aa.e the kah diye
lafzoñ ke talḳh tiir chalāne meñ maiñ na thā
qurbat zarā sī baḌhte hī vo to simaT gayā
varna fuzūl chhupne chhupāne meñ maiñ na thā
suunā sā rasta dhuup shajar duur ik sadā
tasvīr aisī koī dikhāne meñ maiñ na thā
dariyā kī aatī jaatī sī lahreñ takā karūñ
sāhil pe aisī chhāp bichhāne meñ maiñ na thā
'parvez' aur baat ki hushiyār huuñ bahut
jaadū magar kisī pe chalāne meñ maiñ na thā
KHud ban gai hai baat banane mein main na tha
is waqiye ke koi fasane mein main na tha
manzar ko sath le gai suraj ki raushni
din ke hasin rang miTane mein main na tha
jaise ufuq pe khinch de koi lakir si
is tarah se parinde uDane mein main na tha
kuchh doston ke hath bhi malbus is mein the
tanha faqat futur jagane mein main na tha
honTon pe sidhe sade jo aae the kah diye
lafzon ke talKH tir chalane mein main na tha
qurbat zara si baDhte hi wo to simaT gaya
warna fuzul chhupne chhupane mein main na tha
suna sa rasta dhup shajar dur ek sada
taswir aisi koi dikhane mein main na tha
dariya ki aati jati si lahren taka karun
sahil pe aisi chhap bichhane mein main na tha
'parwez' aur baat ki hushiyar hun bahut
jadu magar kisi pe chalane mein main na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.