KHud chale aao yahan ya ki sada do hum ko
ḳhud chale aao yahāñ yā ki sadā do ham ko
ham gunahgār tumhāre haiñ du'ā do ham ko
kyā kareñ ham se ye hotī nahīñ duniyā-dārī
ham jo duniyā ke nahīñ haiñ to miTā do ham ko
ham tumhāre haiñ tumhāre hī qarīb aa baiThe
huuñ jo gustāḳh to mahfil se uThā do ham ko
dāman-e-qais sahī dāman-e-yūsuf na sahī
ab to ye chaak hai jo chāhe sazā do ham ko
apnī hī raakh meñ ye aag na kajlā jaa.e
ab lagā.ī hai to āñchal kī havā do ham ko
ye bhī ham bhuul ga.e naam hamārā kyā thā
pūchh kar gardish-e-daurāñ se batā do ham ko
yā hameñ qaid karo mahbas-e-tanhā.ī meñ
yā usī dushman-e-jānī se milā do ham ko
jin ko āñkhoñ se lagāyā to hameñ chhoḌ ga.e
unhīñ chehroñ unhīñ ḳhvāboñ kā pata do ham ko
KHud chale aao yahan ya ki sada do hum ko
hum gunahgar tumhaare hain du'a do hum ko
kya karen hum se ye hoti nahin duniya-dari
hum jo duniya ke nahin hain to miTa do hum ko
hum tumhaare hain tumhaare hi qarib aa baiThe
hun jo gustaKH to mahfil se uTha do hum ko
daman-e-qais sahi daman-e-yusuf na sahi
ab to ye chaak hai jo chahe saza do hum ko
apni hi rakh mein ye aag na kajla jae
ab lagai hai to aanchal ki hawa do hum ko
ye bhi hum bhul gae nam hamara kya tha
puchh kar gardish-e-dauran se bata do hum ko
ya hamein qaid karo mahbas-e-tanhai mein
ya usi dushman-e-jaani se mila do hum ko
jin ko aankhon se lagaya to hamein chhoD gae
unhin chehron unhin KHwabon ka pata do hum ko
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 78)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.