KHud dard hi ko dard ka darman bana diya
ḳhud dard hī ko dard kā darmāñ banā diyā
maiñ ne ġham-e-hayāt ko āsāñ banā diyā
kaam aaya un kā ġham bhī ġham-e-rozgār bhī
donoñ ne mil ke mujh ko ġhazal-ḳhvāñ banā diyā
mujh ko dayār-e-shauq se jitne bhī ġham mile
un sab ko apnī ziist kā sāmāñ banā diyā
vahshat Tapak rahī hai dar-o-bām o saqf se
vo kyā ga.e ki ghar ko bayābāñ banā diyā
sharminda aap hoñ na kahīñ is ḳhayāl se
ek ek zaḳhm ko gul-e-ḳhandāñ banā diyā
chashm-e-karam kisī kī baḌī chāra-sāz thī
zarra thā 'tāj' mahr-e-daraḳhshāñ banā diyā
KHud dard hi ko dard ka darman bana diya
main ne gham-e-hayat ko aasan bana diya
kaam aaya un ka gham bhi gham-e-rozgar bhi
donon ne mil ke mujh ko ghazal-KHwan bana diya
mujh ko dayar-e-shauq se jitne bhi gham mile
un sab ko apni zist ka saman bana diya
wahshat Tapak rahi hai dar-o-baam o saqf se
wo kya gae ki ghar ko bayaban bana diya
sharminda aap hon na kahin is KHayal se
ek ek zaKHm ko gul-e-KHandan bana diya
chashm-e-karam kisi ki baDi chaara-saz thi
zarra tha 'taj' mahr-e-daraKHshan bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.