KHud dekh KHudi ko o KHud-ara
ḳhud dekh ḳhudī ko o ḳhud-ārā
pahchān ḳhudā ko bhī ḳhudā-rā
tirchhī ye nigāh hai ki aarā
har juzv-e-jigar hai paarā paarā
dekheñge butoñ kī ham kajī ko
sīdhā hai agar ḳhudā hamārā
kyuuñ maut ke āsare pe jiite
ai ziist hameñ to tū ne maarā
allāh-re dil kī be-qarārī
khātā hī nahīñ kahīñ sahārā
jaañ denī hai merī āzmā.ish
dildārī hai imtihāñ tumhārā
tūfān hai josh-e-tishna-kāmī
dariyā bhī to kar gayā kinārā
shīrīnī-e-jāñ kī kab khulī qadr
jab zahr huā hameñ gavārā
har shāḳh pe āshiyāñ hai larzāñ
is baaġh meñ ho chukā guzārā
gardish kā 'qalaq' kī dekhnā auj
har qatra-e-ḳhūñ banā sitārā
KHud dekh KHudi ko o KHud-ara
pahchan KHuda ko bhi KHuda-ra
tirchhi ye nigah hai ki aara
har juzw-e-jigar hai para para
dekhenge buton ki hum kaji ko
sidha hai agar KHuda hamara
kyun maut ke aasare pe jite
ai zist hamein to tu ne mara
allah-re dil ki be-qarari
khata hi nahin kahin sahaara
jaan deni hai meri aazmaish
dildari hai imtihan tumhaara
tufan hai josh-e-tishna-kaami
dariya bhi to kar gaya kinara
shirini-e-jaan ki kab khuli qadr
jab zahr hua hamein gawara
har shaKH pe aashiyan hai larzan
is bagh mein ho chuka guzara
gardish ka 'qalaq' ki dekhna auj
har qatra-e-KHun bana sitara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.