KHud-gharz ho ke apnon ke gham-KHwar hi raho
KHud-gharz ho ke apnon ke gham-KHwar hi raho
Abdullah Minhaj Khan
MORE BYAbdullah Minhaj Khan
ḳhud-ġharz ho ke apnoñ ke ġham-ḳhvār hī raho
is paar aa ga.e ho to is paar hī raho
mahsūs ho rahā hai ki raushan-ḳhayāl ho
ham chāhte haiñ tum bhī vafādār hī raho
tum ham ko DhūñDte ho zamāne meñ dar-ba-dar
ai kaash tum hamāre talabgār hī raho
tum se mujhe kabhī bhī shikāyat nahīñ huī
tum ho hasīñ to husn kā me'yār hī raho
kyoñ phir rahe ho ġham liye in be-vafāoñ kā
ġham-ḳhvār ho to in meñ giraftār hī raho
har baar tum ko sab se bachāte rahe haiñ ham
tum paḌ ga.e ho 'ishq meñ lāchār hī raho
dar pe tumhāre aa.e kisī kī bisāt kyā
tum ret ke bhañvar meñ bhī gulzār hī raho
har ik nazar meñ kyā hai ye sab jānte ho aap
har fan meñ aap bā'is-e-fankār hī raho
afsos hai ki tum ne hameñ yaad kar liyā
bas is tarah se har ghaḌī dil-dār hī raho
ham ne tumhāre saath meñ sab kar liye gunāh
ab tum bhī mere saath gunahgār hī raho
maiñ ne tumhāre she'r ko jab se paḌhā hai dost
dil chāhtā hai sāhab-e-guftār hī raho
mujh ko tumhāre husn se kuchh bhī nahīñ ġharaz
tum is liye ḳhafā ho to bezār hī raho
'minhāj' aa gayā hai vo TukḌoñ kī shakl meñ
us ko banā ke tum bhī samajh-dār hī raho
KHud-gharz ho ke apnon ke gham-KHwar hi raho
is par aa gae ho to is par hi raho
mahsus ho raha hai ki raushan-KHayal ho
hum chahte hain tum bhi wafadar hi raho
tum hum ko DhunDte ho zamane mein dar-ba-dar
ai kash tum hamare talabgar hi raho
tum se mujhe kabhi bhi shikayat nahin hui
tum ho hasin to husn ka me'yar hi raho
kyon phir rahe ho gham liye in be-wafaon ka
gham-KHwar ho to in mein giraftar hi raho
har bar tum ko sab se bachate rahe hain hum
tum paD gae ho 'ishq mein lachaar hi raho
dar pe tumhaare aae kisi ki bisat kya
tum ret ke bhanwar mein bhi gulzar hi raho
har ek nazar mein kya hai ye sab jaante ho aap
har fan mein aap ba'is-e-fankar hi raho
afsos hai ki tum ne hamein yaad kar liya
bas is tarah se har ghaDi dil-dar hi raho
hum ne tumhaare sath mein sab kar liye gunah
ab tum bhi mere sath gunahgar hi raho
main ne tumhaare she'r ko jab se paDha hai dost
dil chahta hai sahab-e-guftar hi raho
mujh ko tumhaare husn se kuchh bhi nahin gharaz
tum is liye KHafa ho to bezar hi raho
'minhaj' aa gaya hai wo TukDon ki shakl mein
us ko bana ke tum bhi samajh-dar hi raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.