KHud hi apna raaz KHud hi raazdan ban jaunga
ḳhud hī apnā raaz ḳhud hī rāzdāñ ban jā.ūñgā
ek lamhe kā yaqīñ huuñ phir gumāñ ban jā.ūñgā
harf kī sūrat zabāñ par ek baar aane to do
dekhte hī dekhte maiñ dāstāñ ban jā.ūñgā
ibtidā meñ ik alāmat thā guzarte vaqt kī
intihā tak agle vaqtoñ kā nishāñ ban jā.ūñgā
jab tarāshā jā rahā thā zehn meñ merā badan
kis ne sochā thā ki maiñ suunā makāñ ban jā.ūñgā
hote hote vahm meñ tahlīl ho jāoge tum
aur maiñ bhī ek sa.ī-e-rā.egāñ ban jā.ūñgā
'hairat' aisā hī mashiyyat kā hai shāyad qā.eda
jhilmilātī lau se ubhrā huuñ dhuāñ ban jā.ūñgā
KHud hi apna raaz KHud hi raazdan ban jaunga
ek lamhe ka yaqin hun phir guman ban jaunga
harf ki surat zaban par ek bar aane to do
dekhte hi dekhte main dastan ban jaunga
ibtida mein ek alamat tha guzarte waqt ki
intiha tak agle waqton ka nishan ban jaunga
jab tarasha ja raha tha zehn mein mera badan
kis ne socha tha ki main suna makan ban jaunga
hote hote wahm mein tahlil ho jaoge tum
aur main bhi ek sai-e-raegan ban jaunga
'hairat' aisa hi mashiyyat ka hai shayad qaeda
jhilmilati lau se ubhra hun dhuan ban jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.