Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud hi apni lash uThaen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

Zubair Bahadur Josh

KHud hi apni lash uThaen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

Zubair Bahadur Josh

MORE BYZubair Bahadur Josh

    ḳhud apnī laash uThā.eñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    aur lab pe shikva na laa.eñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    apnī Daflī alag bajā.eñ aur kisī sun na paa.eñ

    phir bhī kaheñ sab saath nibāheñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    is uljhan us uljhan ghar meñ uljhan bāhar uljhan

    saarī uljhan ham suljhā.eñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    duniyā-dārī ik bīmārī sach sach kahnā aur ḳhush rahnā

    maan rakheñ samān gañvā.eñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    usī ne ilzām-tarāshī aur duniyā ne shābāshī

    mere sar saarī balā.eñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    bād-e-bahārāñ gulshan gulshan suunā paḌā hai apnā āñgan

    bār-e-ḳhizāñ ik ham uThā.eñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    yaad tumhārī aa.e sājan vyākul kar de saarā tan-man

    ik pal tum ko bhuul na paa.eñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    biptā aisī aan parī hai sankaT meñ ye jaan paḌī hai

    ik merī jaañ saarī balā.eñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    aisā bhī kyā ho saktā hai aap ne kaise soch liyā ye

    aap bulā.eñ 'josh' na aa.eñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    KHud hi apni lash uThaen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    aur lab pe shikwa na laen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    apni Dafli alag bajaen aur kisi ki sun na paen

    phir bhi kahen sab sath nibahen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    is ki uljhan us ki uljhan ghar mein uljhan bahar uljhan

    sari uljhan hum suljhaen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    duniya-dari ek bimari sach sach kahna aur KHush rahna

    man rakhen saman ganwaen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    usi ne ki ilzam-tarashi aur duniya ne di shabashi

    mere sar hi sari balaen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    baad-e-bahaaran gulshan gulshan suna paDa hai apna aangan

    bar-e-KHizan ek hum hi uThaen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    yaad tumhaari aae sajan wyakul kar de sara tan-man

    ek pal tum ko bhul na paen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    bipta aisi aan pari hai sankaT mein ye jaan paDi hai

    ek meri jaan sari balaen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    aisa bhi kya ho sakta hai aap ne kaise soch liya ye

    aap bulaen 'josh' na aaen kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now