KHud hi chal kar to mere pas wo aane se raha
ḳhud hī chal kar to mire paas vo aane se rahā
maiñ bhī ab apnī anā chhoḌ ke jaane se rahā
merī āñkhoñ meñ charāġhāñ hai yahī kaafī hai
tere qadmoñ meñ na.e phuul bichhāne se rahā
tum use jā ke kaho aa ke manā.e mujh ko
ḳhud se rūThā huuñ to maiñ ḳhud ko manāne se rahā
āstīnoñ se kaho apnī hifāzat kar leñ
yaar sāñpoñ se to maiñ in ko bachāne se rahā
rā.egānī kā safar mujh se nahīñ ho saktā
ab mohabbat meñ nayā ranj uThāne se rahā
ābla-pā.ī bhī gulshan hai mujhe dasht-mizāj
zaḳhm mahke haiñ to phūloñ ko dikhāne se rahā
dil meñ ghaav hī sahī talḳh tabī.at bhī sahī
apne yāroñ pe to maiñ haath uThāne se rahā
ret bhī chūmtī rahtī hai mire paañv 'safī'
maiñ samandar ko to manzar ye dikhāne se rahā
KHud hi chal kar to mere pas wo aane se raha
main bhi ab apni ana chhoD ke jaane se raha
meri aankhon mein charaghan hai yahi kafi hai
tere qadmon mein nae phul bichhane se raha
tum use ja ke kaho aa ke manae mujh ko
KHud se ruTha hun to main KHud ko manane se raha
aastinon se kaho apni hifazat kar len
yar sanpon se to main in ko bachane se raha
raegani ka safar mujh se nahin ho sakta
ab mohabbat mein naya ranj uThane se raha
aabla-pai bhi gulshan hai mujhe dasht-mizaj
zaKHm mahke hain to phulon ko dikhane se raha
dil mein ghaw hi sahi talKH tabiat bhi sahi
apne yaron pe to main hath uThane se raha
ret bhi chumti rahti hai mere panw 'safi'
main samandar ko to manzar ye dikhane se raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.