KHud hi mahbub liye apna payam aaya hai
KHud hi mahbub liye apna payam aaya hai
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
ḳhud hī mahbūb liye apnā payām aaya hai
manzil-e-ishq meñ aisā bhī maqām aaya hai
koī ḳhat aaya hai un kā na payām aaya hai
dīda-e-dil ke liye saḳht maqām aaya hai
dekhiye kaise kaTe raat paḌī hai saarī
phir tasavvur meñ koī ab sar-e-shām aaya hai
aap apnī bhī ḳhabar ab nahīñ miltī ai dost
vādī-e-‘ishq meñ kaisā ye maqām aaya hai
haa.e kyā chiiz hai ye ahl-e-muhabbat kā ḳhulūs
dushmanoñ ke liye bhī un kā salām aaya hai
jo bhī mil jaa.e vo saaqī kī 'ināyat kahiye
ye bhī kyā kam hai ki durd-e-tah-e-jām aaya hai
aap kyoñ chalte zamāne kī ravish se haT kar
vaqt paḌne pe kisī ke koī kaam aaya hai
Darte Darte tirī rahmat kā sahārā le kar
tere darbār meñ maulā ye ġhulām aaya hai
ai 'zakī' hashr meñ rahmat kī nazar hai mujh par
dil-e-tarsīda baḌe vaqt pe kaam aaya hai
KHud hi mahbub liye apna payam aaya hai
manzil-e-ishq mein aisa bhi maqam aaya hai
koi KHat aaya hai un ka na payam aaya hai
dida-e-dil ke liye saKHt maqam aaya hai
dekhiye kaise kaTe raat paDi hai sari
phir tasawwur mein koi ab sar-e-sham aaya hai
aap apni bhi KHabar ab nahin milti ai dost
wadi-e-‘ishq mein kaisa ye maqam aaya hai
hae kya chiz hai ye ahl-e-muhabbat ka KHulus
dushmanon ke liye bhi un ka salam aaya hai
jo bhi mil jae wo saqi ki 'inayat kahiye
ye bhi kya kam hai ki durd-e-tah-e-jam aaya hai
aap kyon chalte zamane ki rawish se haT kar
waqt paDne pe kisi ke koi kaam aaya hai
Darte Darte teri rahmat ka sahaara le kar
tere darbar mein maula ye ghulam aaya hai
ai 'zaki' hashr mein rahmat ki nazar hai mujh par
dil-e-tarsida baDe waqt pe kaam aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.