KHud hi nahin hayat mein aaya hua hai dard
ḳhud hī nahīñ hayāt meñ aaya huā hai dard
kar ke raqam ḳhushī ko kamāyā huā hai dard
ik dil nahīñ hamārā hai us ke nishāne par
rag rag nafas nafas meñ samāyā huā hai dard
ab bhīgtī nahīñ hai alam se hamārī aañkh
ġham kī tamāzatoñ meñ sukhāyā huā hai dard
dikhtī hai Tiis āñkhoñ meñ chīḳheñ ḳhamosh haiñ
kuchh is tarah jigar meñ dabāyā huā hai dard
har aañkh hai bujhī bujhī chehra udaas hai
jaise fazā pe shahr kī chhāyā huā hai dard
ḳhushiyoñ ke saath miltā rahe lutf-e-ġham hameñ
ḳhushiyoñ meñ ham ne thoḌā milāyā huā hai dard
un ko judā.ī ham se bhalā kyoñ gavāra ho
nāz-o-adā se ham ne uThāyā huā hai dard
KHud hi nahin hayat mein aaya hua hai dard
kar ke raqam KHushi ko kamaya hua hai dard
ek dil nahin hamara hai us ke nishane par
rag rag nafas nafas mein samaya hua hai dard
ab bhigti nahin hai alam se hamari aankh
gham ki tamazaton mein sukhaya hua hai dard
dikhti hai Tis aankhon mein chiKHen KHamosh hain
kuchh is tarah jigar mein dabaya hua hai dard
har aankh hai bujhi bujhi chehra udas hai
jaise faza pe shahr ki chhaya hua hai dard
KHushiyon ke sath milta rahe lutf-e-gham hamein
KHushiyon mein hum ne thoDa milaya hua hai dard
un ko judai hum se bhala kyon gawara ho
naz-o-ada se hum ne uThaya hua hai dard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.