KHud hi sang-o-KHisht KHud hi sar-junun-e-sar hun main
ḳhud hī sang-o-ḳhisht ḳhud hī sar-junūn-e-sar huuñ maiñ
ḳhud hī maiñ naḳhchīr daana ḳhud hī bāl-o-par huuñ maiñ
muntazir huuñ ek qatre kā jo de izn-e-safar
jo tah-e-sahrā hai mahv-e-ḳhvāb vo sāgar huuñ maiñ
chāñd ko ābād kar lekin merī fikr-o-nazar
dekh muddat se hai jo vīrāñ paḌā vo ghar huuñ maiñ
itnā sāda-dil ki dard-e-dil ke haq meñ jaan duuñ
par dar-e-kā'ba na jā.ūñ is qadar ḳhud-sar huuñ maiñ
is qadar vahshī ki ḳhud pī jā.ūñ apnā ḳhūn-e-dil
itnā shā.ista ki shahr-e-'ishq kā dilbar huuñ maiñ
tishna-lab par kuchh adab vājib nahīñ dariyāoñ kā
ye sabab hai jo rivāyat se khaḌā bāhar huuñ maiñ
chiyuñTiyoñ ke reñgne kī bhī sadā aa.e jahāñ
itne chup sahme nagar meñ zarb āhan-gar huuñ maiñ
is qadar tanhā ki Dar jaatā huuñ apnī saañs se
itnā pechīda ki apnī zaat meñ lashkar huuñ maiñ
saañs aatī bhī nahīñ aur jaañ se jaatī bhī nahīñ
hijr bāhar thā to hijrat dard ke andar huuñ maiñ
chand ghaḌiyāñ aur hai ye habs kā mausam 'faqīh'
ruḳh havā kā dekh saktā hai jo dīda-var huuñ maiñ
KHud hi sang-o-KHisht KHud hi sar-junun-e-sar hun main
KHud hi main naKHchir dana KHud hi baal-o-par hun main
muntazir hun ek qatre ka jo de izn-e-safar
jo tah-e-sahra hai mahw-e-KHwab wo sagar hun main
chand ko aabaad kar lekin meri fikr-o-nazar
dekh muddat se hai jo viran paDa wo ghar hun main
itna sada-dil ki dard-e-dil ke haq mein jaan dun
par dar-e-ka'ba na jaun is qadar KHud-sar hun main
is qadar wahshi ki KHud pi jaun apna KHun-e-dil
itna shaista ki shahr-e-'ishq ka dilbar hun main
tishna-lab par kuchh adab wajib nahin dariyaon ka
ye sabab hai jo riwayat se khaDa bahar hun main
chiyunTiyon ke rengne ki bhi sada aae jahan
itne chup sahme nagar mein zarb aahan-gar hun main
is qadar tanha ki Dar jata hun apni sans se
itna pechida ki apni zat mein lashkar hun main
sans aati bhi nahin aur jaan se jati bhi nahin
hijr bahar tha to hijrat dard ke andar hun main
chand ghaDiyan aur hai ye habs ka mausam 'faqih'
ruKH hawa ka dekh sakta hai jo dida-war hun main
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 621)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.