KHud hi shamil nahin ho pae hum apne dukh mein
ḳhud hī shāmil nahīñ ho paa.e ham apne dukh meñ
jaane le baiThe ye kyā aaj purānī bāteñ
kis qadar ho ga.e ye fāsle ab ham ko 'azīz
tum jo barsoñ pe milo ham ko to hairat na kareñ
chāho to ek hī āvāz meñ qaa.il kar lo
mahv-e-ġhaflat bhī huuñ kuchh khul bhī rahī haiñ āñkheñ
'ishq ke lams ko hastī se miTā deñ kaise
maan lī baat ki ham qat-e-ta’alluq kar leñ
vahī āvāz hai maiñ sun to rahā huuñ lekin
dil kī dhaḌkan ne zarā Daal diyā hai shak meñ
mil sī jaatī hai kaḌī ‘ālam-e-dīvāngī kī
yaad jab aatī haiñ kuchh bhūltī sī vo āñkheñ
jaane is 'ishq meñ kyā apne yaqīñ par guzrī
yā'nī ye soch ke ḳhāmosh haiñ kyā baat kareñ
ik tamannā hai ta'alluq ke sahāre tum se
kyā ta'alluq sā banā rakkhā hai dil hī dil meñ
haañ in āñkhoñ ne ka.ī baar to ye bhī chāhā
koī aatā nazar aa.e na jidhar bhī dekheñ
tujh ko pā kar jo hue vahm-o-gumāñ vo mat pūchh
ḳhud ko paayā na kabhī ham ne tirī bātoñ meñ
ek ik baat jo ḳhud kahte phire haiñ apnī
kaisī hasrat thī ki ho koī to kuchh baat kareñ
aah kis shauq-e-ta'alluq meñ miTe ham ai dil
koī aayā na gayā yūñhī banā liiñ bāteñ
ek ‘arse pe mile aaj to yuuñ jaan paḌā
jis tarah us ne har ik haal meñ dekhā ho hameñ
kuchh ho ‘unvān-e-suḳhan baat banānā mā'lūm
ik ta'alluq se thī jo kuchh bhī thī ḳhūbī ham meñ
aah ye be-asarī aur us āvāz kī 'talḳh'
ban ke kauñdā sā lapaktī thī jo dil hī dil meñ
KHud hi shamil nahin ho pae hum apne dukh mein
jaane le baiThe ye kya aaj purani baaten
kis qadar ho gae ye fasle ab hum ko 'aziz
tum jo barson pe milo hum ko to hairat na karen
chaho to ek hi aawaz mein qail kar lo
mahw-e-ghaflat bhi hun kuchh khul bhi rahi hain aankhen
'ishq ke lams ko hasti se miTa den kaise
man li baat ki hum qat-e-ta’alluq kar len
wahi aawaz hai main sun to raha hun lekin
dil ki dhaDkan ne zara Dal diya hai shak mein
mil si jati hai kaDi ‘alam-e-diwangi ki
yaad jab aati hain kuchh bhulti si wo aankhen
jaane is 'ishq mein kya apne yaqin par guzri
ya'ni ye soch ke KHamosh hain kya baat karen
ek tamanna hai ta'alluq ke sahaare tum se
kya ta'alluq sa bana rakkha hai dil hi dil mein
han in aankhon ne kai bar to ye bhi chaha
koi aata nazar aae na jidhar bhi dekhen
tujh ko pa kar jo hue wahm-o-guman wo mat puchh
KHud ko paya na kabhi hum ne teri baaton mein
ek ek baat jo KHud kahte phire hain apni
kaisi hasrat thi ki ho koi to kuchh baat karen
aah kis shauq-e-ta'alluq mein miTe hum ai dil
koi aaya na gaya yunhi bana lin baaten
ek ‘arse pe mile aaj to yun jaan paDa
jis tarah us ne har ek haal mein dekha ho hamein
kuchh ho ‘unwan-e-suKHan baat banana ma'lum
ek ta'alluq se thi jo kuchh bhi thi KHubi hum mein
aah ye be-asari aur us aawaz ki 'talKH'
ban ke kaunda sa lapakti thi jo dil hi dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.