KHud kahani ko aisa moD diya
ḳhud kahānī ko aisā moḌ diyā
āḳhirī ashk tak nichoḌ diyā
kaisī achchhī hai us kī tanhā.ī
aadmī ko ḳhudā ne chhoḌ diyā
us ne paanī pe merā naam likhā
jaise kuuza banā ke toḌ diyā
dil banā kar mirā hathelī par
aur phir muTThī ko maroḌ diyā
ham bahut lambī lambī chhoḌte the
jabhī ik dūsre ko chhoḌ diyā
dasht kī pyaas kā yahī hal thā
paañv ke aable ko phoḌ diyā
aks phir ek ho nahīñ paa.e
TuuTe ā.īne ko to joḌ diyā
KHud kahani ko aisa moD diya
aaKHiri ashk tak nichoD diya
kaisi achchhi hai us ki tanhai
aadmi ko KHuda ne chhoD diya
us ne pani pe mera nam likha
jaise kuza bana ke toD diya
dil bana kar mera hatheli par
aur phir muTThi ko maroD diya
hum bahut lambi lambi chhoDte the
jabhi ek dusre ko chhoD diya
dasht ki pyas ka yahi hal tha
panw ke aable ko phoD diya
aks phir ek ho nahin pae
TuTe aaine ko to joD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.