Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ke sae se bhi hairan nazar aata hai

Mariyam Fatima

KHud ke sae se bhi hairan nazar aata hai

Mariyam Fatima

MORE BYMariyam Fatima

    ḳhud ke saa.e se bhī hairān nazar aatā hai

    apne ghar meñ bhī vo mehmān nazar aatā hai

    kis chehra hai jo be-sāḳhta hotā hai ayaañ

    ḳhvāb bhī aañkh meñ hairān nazar aatā hai

    us ne bhī koī ḳhabar ghar ke ujaḌne ki na

    jis chhat se mirā dālān nazar aatā hai

    āmad-e-yār meñ tāsīr bahāroñ hai

    chehra chehra jo gulistān nazar aatā hai

    kisī nādān ne phir zikr-e-vafā chheḌā hai

    yaar mahfil meñ pareshān nazar aatā hai

    mil rahā hai vo bahut pyaar se ai dil mohtāt

    ik na.e dard unvān nazar aatā hai

    maiñ bhī masrūr nahīñ us se kinārā kar ke

    vo bhī us or pashemān nazar aatā hai

    zindagī yaad dilātī hai judā.ī terī

    saañs lene jo imkān nazar aatā hai

    ruḳh badal letā hai be-sāḳhta rahbar merā

    jab bhī rastā koī āsān nazar aatā hai

    haiñ yahāñ qaid ka.ī yaad ke bekas panchhī

    apnā kamrā mujhe zindān nazar aatā hai

    KHud ke sae se bhi hairan nazar aata hai

    apne ghar mein bhi wo mehman nazar aata hai

    kis ka chehra hai jo be-saKHta hota hai ayan

    KHwab bhi aankh mein hairan nazar aata hai

    us ne bhi koi KHabar ghar ke ujaDne ki na li

    jis ki chhat se mera dalan nazar aata hai

    aamad-e-yar mein tasir bahaaron si hai

    chehra chehra jo gulistan nazar aata hai

    kisi nadan ne phir zikr-e-wafa chheDa hai

    yar mahfil mein pareshan nazar aata hai

    mil raha hai wo bahut pyar se ai dil mohtat

    ek nae dard ka unwan nazar aata hai

    main bhi masrur nahin us se kinara kar ke

    wo bhi us or pasheman nazar aata hai

    zindagi yaad dilati hai judai teri

    sans lene ka jo imkan nazar aata hai

    ruKH badal leta hai be-saKHta rahbar mera

    jab bhi rasta koi aasan nazar aata hai

    hain yahan qaid kai yaad ke bekas panchhi

    apna kamra mujhe zindan nazar aata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now