KHud KHamoshi ke hisaron mein rahe
ḳhud ḳhamoshī ke hisāroñ meñ rahe
raat bhar charche sitāroñ meñ rahe
thī zamīn-e-gul nazar ke sāmne
jāda-paimā reg-zāroñ meñ rahe
ho ga.e haiñ kitne manzil-āshnā
kitne rah-rau rahguzāroñ meñ rahe
ho ga.iiñ ġharqāb kitnī bastiyāñ
kitne tūfāñ jo.ebāroñ meñ rahe
zulmat-e-shab paas aa saktī nahīñ
muddatoñ ham māh-pāroñ meñ rahe
hai ḳhizāñ kī dhuul kī tan par taheñ
ham rahe to nau-bahāroñ meñ rahe
KHud KHamoshi ke hisaron mein rahe
raat bhar charche sitaron mein rahe
thi zamin-e-gul nazar ke samne
jada-paima reg-zaron mein rahe
ho gae hain kitne manzil-ashna
kitne rah-rau rahguzaron mein rahe
ho gain gharqab kitni bastiyan
kitne tufan joebaron mein rahe
zulmat-e-shab pas aa sakti nahin
muddaton hum mah-paron mein rahe
hai KHizan ki dhul ki tan par tahen
hum rahe to nau-bahaaron mein rahe
- Book : khvaab-e-ravaan (Pg. 19)
- Author : hamidi kashmiri
- Publication : kitaab ghar laal chauk srinagar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.