KHud KHatm kar ke qissa-e-sham-o-sahar ko main
ḳhud ḳhatm kar ke qissa-e-shām-o-sahar ko maiñ
ye bhī pata nahīñ ki chalā huuñ kidhar ko maiñ
haavī shab-e-firāq kī zulmat hai zehn par
vaqt-e-sahar bhī DhūñD rahā huuñ sahar ko maiñ
māyūs ham-safar na ho parvāz se mirī
tartīb de rahā huuñ abhī bāl-o-par ko maiñ
ye aur baat hai ki tabassum laboñ pe hai
kyā jāntā nahīñ huuñ tumhārī nazar ko maiñ
dānista Thokaroñ kā uThāyā hai maiñ ne lutf
bhūlā nahīñ huuñ dost tirī rahguzar ko maiñ
itnā ḳharāb to nahīñ bīmār-e-ġham kā haal
māyūs dekhtā huuñ magar chārāgar ko maiñ
phir sāmne haiñ aaj ba-sad-ehtimām vo
dil ko sañbhālūñ 'fauq' ki ro.uuñ jigar ko maiñ
KHud KHatm kar ke qissa-e-sham-o-sahar ko main
ye bhi pata nahin ki chala hun kidhar ko main
hawi shab-e-firaq ki zulmat hai zehn par
waqt-e-sahar bhi DhunD raha hun sahar ko main
mayus ham-safar na ho parwaz se meri
tartib de raha hun abhi baal-o-par ko main
ye aur baat hai ki tabassum labon pe hai
kya jaanta nahin hun tumhaari nazar ko main
danista Thokaron ka uThaya hai main ne lutf
bhula nahin hun dost teri rahguzar ko main
itna KHarab to nahin bimar-e-gham ka haal
mayus dekhta hun magar chaaragar ko main
phir samne hain aaj ba-sad-ehtimam wo
dil ko sanbhaalun 'fauq' ki roun jigar ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.