KHud ko aafat-e-zamana se bachae rakhiye
ḳhud ko āfāt-e-zamāna se bachā.e rakhiye
vaqt kaisā bhī ho kirdār banā.e rakhiye
mil hī jā.egā kisī vaqt surāġh-e-manzil
rāh-e-ulfat meñ nigāhoñ ko bachā.e rakhiye
kāmyābī se to ho jā.egā qissa hī tamām
ishq-e-nākām ko nākām banā.e rakhiye
dekhne ā.eñge vo un kī ḳhushī kī ḳhātir
dil ke dāġhoñ ko qarīne se sajā.e rakhiye
pheñk diije mirā dil TuuT gayā phuuT gayā
ho gayā ḳhuun use is ke bajā.e rakhiye
bazm us kī hai parā.e pe nazar mat kiije
raunaq-e-bazm bahar-hāl jamā.e rakhiye
tohfa-e-ishq hai 'ejāz' vafā ho ki jafā
jo bhī mil jaa.e use dil se lagā.e rakhiye
KHud ko aafat-e-zamana se bachae rakhiye
waqt kaisa bhi ho kirdar banae rakhiye
mil hi jaega kisi waqt suragh-e-manzil
rah-e-ulfat mein nigahon ko bachae rakhiye
kaamyabi se to ho jaega qissa hi tamam
ishq-e-nakaam ko nakaam banae rakhiye
dekhne aaenge wo un ki KHushi ki KHatir
dil ke daghon ko qarine se sajae rakhiye
phenk dije mera dil TuT gaya phuT gaya
ho gaya KHun use is ke bajae rakhiye
bazm us ki hai parae pe nazar mat kije
raunaq-e-bazm bahar-haal jamae rakhiye
tohfa-e-ishq hai 'ejaz' wafa ho ki jafa
jo bhi mil jae use dil se lagae rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.