KHud ko ab koi tamasha nahin hone denge
ḳhud ko ab koī tamāshā nahīñ hone deñge
ham tumheñ shahr meñ rusvā nahīñ hone deñge
jism kī ret par us ne jo lagā.e haiñ nishāñ
mere nāḳhun inheñ dhuñdlā nahīñ hone deñge
ḳhvāhish-e-kār-e-masīhā.ī bahut hai lekin
zaḳhm-e-dil ham tujhe achchhā nahīñ hone deñge
kuchh to qurbat bhī tirī raas nahīñ aa.egī
aur kuchh log bhī aisā nahīñ hone deñge
mujh ko mā'lūm hai mujh meñ na Thaharne vaale
mere andar mirā honā nahīñ hone deñge
KHud ko ab koi tamasha nahin hone denge
hum tumhein shahr mein ruswa nahin hone denge
jism ki ret par us ne jo lagae hain nishan
mere naKHun inhen dhundla nahin hone denge
KHwahish-e-kar-e-masihai bahut hai lekin
zaKHm-e-dil hum tujhe achchha nahin hone denge
kuchh to qurbat bhi teri ras nahin aaegi
aur kuchh log bhi aisa nahin hone denge
mujh ko ma'lum hai mujh mein na Thaharne wale
mere andar mera hona nahin hone denge
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 37)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 34)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.