KHud ko ahl-e-wafa samajhte hain
ḳhud ko ahl-e-vafā samajhte haiñ
auroñ ko bevafā samajhte haiñ
paar kashtī lagā ke dikhlā.eñ
ḳhud ko gar nāḳhudā samajhte haiñ
ḳhāmiyāñ dūsroñ kī ginvā.eñ
ḳhud ko jo pārsā samajhte haiñ
kah bhī Dāleñ zabān se apnī
jo burā yā bhalā samajhte haiñ
ik na.ī zindagī hai ba.ad-az-marg
log use intihā samajhte haiñ
hirs-o-tama kī dauḌ jaarī hai
sab isī meñ baqā samajhte haiñ
kis tarah jaan luuñ 'sabīha' ko
apne dil meñ vo kyā samajhte haiñ
KHud ko ahl-e-wafa samajhte hain
auron ko bewafa samajhte hain
par kashti laga ke dikhlaen
KHud ko gar naKHuda samajhte hain
KHamiyan dusron ki ginwaen
KHud ko jo parsa samajhte hain
kah bhi Dalen zaban se apni
jo bura ya bhala samajhte hain
ek nai zindagi hai baad-az-marg
log use intiha samajhte hain
hirs-o-tama ki dauD jari hai
sab isi mein baqa samajhte hain
kis tarah jaan lun 'sabiha' ko
apne dil mein wo kya samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.