KHud ko apne du-badu rakkha gaya
ḳhud ko apne dū-badū rakkhā gayā
aa.ina yuuñ rū-ba-rū rakkhā gayā
sar burīda hai mirā par ḳham nahīñ
ya.anī sar ko surḳh-rū rakkhā gayā
ishq meñ izzat agar itnī hai to
qais kyoñ be-ābrū rakkhā gayā
taaki koī baat bhī na sun sakeñ
ḳhud ko mahv-e-guftugū rakkhā gayā
kyā haqīqat meñ bhī vo maujūd hai
jis ko mere chār-sū rakkhā gayā
yuuñ na ho ki saañp kā ye ghar bane
āstīñ ko be-rafū rakkhā gayā
naam terā sāmne rakkhā hai yuuñ
jis tarah jām-o-subū rakkhā gayā
ek palḌe meñ zamāna rakh diyā
dūsre meñ sirf tū rakkhā gayā
kuchh hisār-e-bebasī meñ thā 'ḳhizar'
kuchh use bhī hīla-jū rakhā gayā
KHud ko apne du-badu rakkha gaya
aaina yun ru-ba-ru rakkha gaya
sar burida hai mera par KHam nahin
yani sar ko surKH-ru rakkha gaya
ishq mein izzat agar itni hai to
qais kyon be-abru rakkha gaya
taki koi baat bhi na sun saken
KHud ko mahw-e-guftugu rakkha gaya
kya haqiqat mein bhi wo maujud hai
jis ko mere chaar-su rakkha gaya
yun na ho ki sanp ka ye ghar bane
aastin ko be-rafu rakkha gaya
nam tera samne rakkha hai yun
jis tarah jam-o-subu rakkha gaya
ek palDe mein zamana rakh diya
dusre mein sirf tu rakkha gaya
kuchh hisar-e-bebasi mein tha 'KHizar'
kuchh use bhi hila-ju rakha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.