KHud ko badan ki qaid se aazad kar gaya
ḳhud ko badan kī qaid se āzād kar gayā
miTTī kā ek Dher thā pal meñ bikhar gayā
'arsa huā ki dhuup kā shauq-e-safar gayā
muddat huī vo jazba-e-vahshat-asar gayā
vo manzil-e-murād ko apnī na pā sakā
lamhoñ ke iztirāb se jo shaḳhs Dar gayā
vo tundī-e-suḳhan thī ki TuuTā hisār-e-jism
lahje kā zahr ruuh ke andar utar gayā
dād-e-junūñ milī tire kūche meñ sang se
aayā thā ḳhālī haath liye zaḳhm-e-sar gayā
us ne to mujh ko Tuut ke chāhā thā dosto
lekin maiñ sang-hā-e-zamāna se Dar gayā
ye sāniha to koī baḌā sāniha nahīñ
jo sāniha baḌā thā vo dil par guzar gayā
ghar chhoḌ kar jo dasht-e-junūñ kā huā 'azīm'
phir dasht se na lauT ke maiñ apne ghar gayā
KHud ko badan ki qaid se aazad kar gaya
miTTi ka ek Dher tha pal mein bikhar gaya
'arsa hua ki dhup ka shauq-e-safar gaya
muddat hui wo jazba-e-wahshat-asar gaya
wo manzil-e-murad ko apni na pa saka
lamhon ke iztirab se jo shaKHs Dar gaya
wo tundi-e-suKHan thi ki TuTa hisar-e-jism
lahje ka zahr ruh ke andar utar gaya
dad-e-junun mili tere kuche mein sang se
aaya tha KHali hath liye zaKHm-e-sar gaya
us ne to mujh ko Tut ke chaha tha dosto
lekin main sang-ha-e-zamana se Dar gaya
ye saniha to koi baDa saniha nahin
jo saniha baDa tha wo dil par guzar gaya
ghar chhoD kar jo dasht-e-junun ka hua 'azim'
phir dasht se na lauT ke main apne ghar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.