KHud ko bhi sach sach bata paya na main
KHud ko bhi sach sach bata paya na main
Raghunandan Sharma Danish
MORE BYRaghunandan Sharma Danish
ḳhud ko bhī sach sach batā paayā na maiñ
aa.ine se kyoñ nibhā paayā na maiñ
itnī ujlat thī batāne kī mujhe
jo batānā thā batā paayā na maiñ
is liye rishtoñ meñ dushvārī huī
chehre par chehra lagā paayā na maiñ
'umr bhar jis ko na hāsil kar sakā
'umr bhar us ko gañvā paayā na maiñ
us ke jaane kā thā itnā ġham mujhe
ek bhī aañsū bahā paayā na maiñ
KHud ko bhi sach sach bata paya na main
aaine se kyon nibha paya na main
itni ujlat thi batane ki mujhe
jo batana tha bata paya na main
is liye rishton mein dushwari hui
chehre par chehra laga paya na main
'umr bhar jis ko na hasil kar saka
'umr bhar us ko ganwa paya na main
us ke jaane ka tha itna gham mujhe
ek bhi aansu baha paya na main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.