KHud ko bhuka hi rakha aur kamai roTi
ḳhud ko bhūkā hī rakhā aur kamā.ī roTī
tab kahīñ baap ne bachchoñ ko khilā.ī roTī
us kī mehnat ke hī sadqe meñ milī hai ham ko
us ne jal jal ke hī khetoñ meñ ugaa.ī roTī
ek muddat meñ mire gaañv ko lauTā jab maiñ
apne hāthoñ se mirī maañ ne khilā.ī roTī
aur māñgegā bhī kyā is ke sivā būḌhā faqīr
ek kambal ho agar aur do Dhaa.ī roTī
ham ne ḳhuuñ de ke banāyā hai zamīñ ko zarḳhez
tab kahīñ jā ke tire haath meñ aa.ī roTī
us ke chehre pe ḳhushī dekhne ke laa.eq thī
us ne jab pahlī dafa gol banā.ī roTī
maiñ ne kal shab jo sabab rone kā pūchhā us se
us ne chandā meñ ishāre se dikhā.ī roTī
KHud ko bhuka hi rakha aur kamai roTi
tab kahin bap ne bachchon ko khilai roTi
us ki mehnat ke hi sadqe mein mili hai hum ko
us ne jal jal ke hi kheton mein ugai roTi
ek muddat mein mere ganw ko lauTa jab main
apne hathon se meri man ne khilai roTi
aur mangega bhi kya is ke siwa buDha faqir
ek kambal ho agar aur do Dhai roTi
hum ne KHun de ke banaya hai zamin ko zarKHez
tab kahin ja ke tere hath mein aai roTi
us ke chehre pe KHushi dekhne ke laeq thi
us ne jab pahli dafa gol banai roTi
main ne kal shab jo sabab rone ka puchha us se
us ne chanda mein ishaare se dikhai roTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.