KHud ko fareb-o-makr-o-dagha ke KHilaf rakh
KHud ko fareb-o-makr-o-dagha ke KHilaf rakh
Mohammad Shafi Sitapuri
MORE BYMohammad Shafi Sitapuri
ḳhud ko fareb-o-makr-o-daġhā ke ḳhilāf rakh
dil apnā aa.ine kī tarah pāk-sāf rakh
mujh ko haqīqatoñ kī fazāoñ meñ uḌne de
tū apne paas tazkira-e-koh-e-qāf rakh
iqrār jis kī zaat kā roz-e-azal kiyā
us kī zamīn par na but-e-inhirāf rakh
shamshīr ke baġhair kisī kaam kā nahīñ
nādān apne saath na ḳhālī ġhilāf rakh
māshūq-e-jāvedāñ ko rijhāne ke vāste
kapḌoñ se baḌh ke qalb-o-jigar pāk-sāf rakh
TukḌe dikhā.ī degā tujhe chehra-e-nashāt
tū dil ke aa.ine meñ na koī shigāf rakh
sheva hai terā haq kī himāyat kā ai 'shafī.a'
jo haq nahīñ tū us se sadā iḳhtilāf rakh
KHud ko fareb-o-makr-o-dagha ke KHilaf rakh
dil apna aaine ki tarah pak-saf rakh
mujh ko haqiqaton ki fazaon mein uDne de
tu apne pas tazkira-e-koh-e-qaf rakh
iqrar jis ki zat ka roz-e-azal kiya
us ki zamin par na but-e-inhiraf rakh
shamshir ke baghair kisi kaam ka nahin
nadan apne sath na KHali ghilaf rakh
mashuq-e-jawedan ko rijhane ke waste
kapDon se baDh ke qalb-o-jigar pak-saf rakh
TukDe dikhai dega tujhe chehra-e-nashat
tu dil ke aaine mein na koi shigaf rakh
shewa hai tera haq ki himayat ka ai 'shafia'
jo haq nahin tu us se sada iKHtilaf rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.