KHud ko har pal se ba-KHabar rakhiye
ḳhud ko har pal se bā-ḳhabar rakhiye
lamha lamha sañbhāl kar rakhiye
kis ko fursat hai baat ko parkhe
apne lahje ko pur-asar rakhiye
ye sitāre bahut haiñ kaj-raftār
in kī raftār par nazar rakhiye
intiqāl aur tabādala bar-haq
ghar kā sāmān muḳhtasar rakhiye
hai bahut saḳht kal kā registāñ
chhāgaleñ aaj hī se bhar rakhiye
shā.irāna ravish ye hai 'kāzim'
be-ḳhabar ban ke sab ḳhabar rakhiye
KHud ko har pal se ba-KHabar rakhiye
lamha lamha sanbhaal kar rakhiye
kis ko fursat hai baat ko parkhe
apne lahje ko pur-asar rakhiye
ye sitare bahut hain kaj-raftar
in ki raftar par nazar rakhiye
intiqal aur tabaadala bar-haq
ghar ka saman muKHtasar rakhiye
hai bahut saKHt kal ka registan
chhagalen aaj hi se bhar rakhiye
shairana rawish ye hai 'kazim'
be-KHabar ban ke sab KHabar rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.