KHud ko inam ke pa lene ka dhoka de kar
ḳhud ko in.aam ke pā lene kā dhokā de kar
Dākiya chehre ko paḌhtā hai lifāfa de kar
rail har samt se roz aa ke guzar jaatī hai
shahr ko mere ka.ī rang kā chehra de kar
kis ne bachchoñ kī tarah taalī bajā.ī hogī
kis ko ḳhush us ne kiyā hai mujhe duniyā de kar
ḳhizr hone kā jo da.avā hai to sīdhā kar do
kisī girtī huī dīvār ko kāñdhā de kar
log ḳhush haiñ ki fazā meñ nazar aa.egā jahāz
haath meñ bachche ke kāġhaz kā parinda de kar
KHud ko inam ke pa lene ka dhoka de kar
Dakiya chehre ko paDhta hai lifafa de kar
rail har samt se roz aa ke guzar jati hai
shahr ko mere kai rang ka chehra de kar
kis ne bachchon ki tarah tali bajai hogi
kis ko KHush us ne kiya hai mujhe duniya de kar
KHizr hone ka jo dawa hai to sidha kar do
kisi girti hui diwar ko kandha de kar
log KHush hain ki faza mein nazar aaega jahaz
hath mein bachche ke kaghaz ka parinda de kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.