KHud ko kabhi jo KHud se milana paDa hamein
KHud ko kabhi jo KHud se milana paDa hamein
Moid Rahbar Lakhnavi
MORE BYMoid Rahbar Lakhnavi
ḳhud ko kabhī jo ḳhud se milānā paḌā hameñ
chehre ke paas ā.īna laanā paḌā hameñ
tanhā.iyoñ kā dard bhulāne ke vāste
ḳhud apne ghar meñ shor machānā paḌā hameñ
muddat ke baad ho gayā jab un se sāmnā
nākām hasratoñ ko jagānā paḌā hameñ
is dasht-e-kā.enāt meñ jiine ke vāste
soz-e-ġham-e-hayāt bhulānā paḌā hameñ
ban jaa.e phir na ek tamāsha ye soch kar
duniyā se apnā dard chhupānā paḌā hameñ
kuchh tīrgī-pasand kal aa.e the is liye
bastī kā har charāġh bujhānā paḌā hameñ
sūraj kā zulm aur baḌhegā ye jab sunā
āñgan meñ ek peḌ lagānā paḌā hameñ
aisā bhī vaqt ālam-e-ġhurbat meñ aa gayā
bachchoñ ko bhūke peT sulānā paḌā hameñ
'rahbar' hamāre vāste manzil nahīñ chalī
manzil kī samt chal ke ḳhud aanā paḌā hameñ
KHud ko kabhi jo KHud se milana paDa hamein
chehre ke pas aaina lana paDa hamein
tanhaiyon ka dard bhulane ke waste
KHud apne ghar mein shor machana paDa hamein
muddat ke baad ho gaya jab un se samna
nakaam hasraton ko jagana paDa hamein
is dasht-e-kaenat mein jine ke waste
soz-e-gham-e-hayat bhulana paDa hamein
ban jae phir na ek tamasha ye soch kar
duniya se apna dard chhupana paDa hamein
kuchh tirgi-pasand kal aae the is liye
basti ka har charagh bujhana paDa hamein
suraj ka zulm aur baDhega ye jab suna
aangan mein ek peD lagana paDa hamein
aisa bhi waqt aalam-e-ghurbat mein aa gaya
bachchon ko bhuke peT sulana paDa hamein
'rahbar' hamare waste manzil nahin chali
manzil ki samt chal ke KHud aana paDa hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.