KHud ko kya KHun rulaoge batao to sahi
ḳhud ko kyā ḳhuun rulāoge batāo to sahī
tum mujhe kaise bhulāoge batāo to sahī
aise chup-chāp tumheñ maiñ nahīñ jaane dūñgā
tum kabhī lauT ke aaoge batāo to sahī
muddat-e-hijr mukarrar mujhe manzūr magar
apne siine se lagāoge batāo to sahī
yaad meñ merī sabhī kaam se ġhāfil ho kar
chaar aañsū bhī bahāoge batāo to sahī
ratjage mere muqaddar meñ likhe haiñ tum ne
aur ḳhud ḳhvāb sajāoge batāo to sahī
tum se pahle bhī ka.ī log mujhe chhoḌ ga.e
maiñ jo rūThūñgā manāoge batāo to sahī
tum kisī ko jo kabhī merā havāla doge
merī ġhazleñ bhī sunāoge batāo to sahī
jab davā kaam na kar pā.egī mujh par 'ārif'
tum masīhā.ī ko aaoge batāo to sahī
KHud ko kya KHun rulaoge batao to sahi
tum mujhe kaise bhulaoge batao to sahi
aise chup-chap tumhein main nahin jaane dunga
tum kabhi lauT ke aaoge batao to sahi
muddat-e-hijr mukarrar mujhe manzur magar
apne sine se lagaoge batao to sahi
yaad mein meri sabhi kaam se ghafil ho kar
chaar aansu bhi bahaoge batao to sahi
ratjage mere muqaddar mein likhe hain tum ne
aur KHud KHwab sajaoge batao to sahi
tum se pahle bhi kai log mujhe chhoD gae
main jo ruThunga manaoge batao to sahi
tum kisi ko jo kabhi mera hawala doge
meri ghazlen bhi sunaoge batao to sahi
jab dawa kaam na kar paegi mujh par 'arif'
tum masihai ko aaoge batao to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.